life hai masti. yahan khushiyan hain sasti. khana-peena gaana-bajaana. laga rahey yeh taana-baana. issmein hee time beet jaana. phir kisko pataa kisney loat key aana.
life hai masti.yahaan khushiyan hain sasti. koi gamm nahi na koi gila. dost banaa liya jo bhee mujhko milaa. pension ki tension chorr dey. kisko pata kalko kya ho bhalaa.
life hai masti. yahan khushiyan hain sasti. tujhko kya karna kisne jama kiya kitna. asli kamai khushiyon ka ehsaas hai. jitney pal khush nahi samjho utna waste kiya.
life hai masti. yahan khushiyan hain sasti.
Thursday, September 03, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment